Answer |
Saal k her mahinay main umra e mufrada kerna mustahab hay.or 2 umro k dermiyaan 30 din ka waqfa zarori nahi hay.Laihaza aik umra mahinay k akhir main or dosra mahinay k awwal main kerna jaiz hay. Aik mahinay main 2 umray kerna chahay apni taraf se ya kisi or ki taraf se jaiz nahi hay.taa,hum dosra umra rija(hope) ki niyat se anjam dainay main koe haraj nahi hay.isi terah agar aik umra apnay liay or dosra umra kisi or ki taraf se ya dono umray 2 mukhtalif afraad ki taraf se hoon tu phir aik mahinay main 2 umray kerne main koe haraj nahi hay.umra e mufrada or umra e tamat,tu k dermiyaan 30 din faasla hone ki shert main ishkaal hay.(Ref:A.Sistani(d.b),manasik e haj, maslah# 137, +http://www.sistani.org/index.php?p=846466&id=55&pid=2949 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) |