Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question salam sir ma namaz pardhane k lye bar bar wazu kart hu lekin aksar meri gas bar bar wazu karne k bawjaod b gas gharji hoti ha .kia meri namaz qabol ho jati ha  
Answer 1:Agar kisi shakhs ko ye aarza laahiq ho kay Riyah roknay par Qadir na ho to zaroori hay kay un logoon kay fareezay kay mutabiq amal karay jo paishab aur pakhana roknay par Qadir na hon. MASAIL : 1.Agar aap ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZN,IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day. 2.Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba REEH kharij ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay REEH kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay..3.Agar aap ko wuzu kar kay namaz ka kuch hissa parhnay ki bhi muhlat na milti ho to aap ka aik wuzu chan namazoon kay liye bhi kafi siwaey ye kay aap koi doosra mubtilaat e wuzu anjaam day dain masalan so jaain waghaira albatta behtar ye hay kay har Namaz kay liye aik baar wuzu karay,laikin Qaza sajday,Tashahhud aur Namaz e Aihtiyat kay liye doosra wuzu zaroori nahi..*2jo rutubat cher chaar ya shehwat angaez tasawwuraat kay waqt apni sharamgaah main mehsoos karta hay wo paak hay,Is say ghusl bhi wajib nahi hota aur na hi ye wuzu ko baatil karti hay.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.306,307,308-Masala No.345,Pg.No.62. ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.