Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question asal-o-alkum mera maslah yeh ha mere shohar ne ghuse main mujhe aik bar talaq de di ha me us waqt haiz se thi, kya mujhe aik talaq ho gai ha? jabke mere huband mujhe talaq dena nahi chahte, kya is ki iddat hoti ha jabke hamare darmian koi sexual relation ship nahi ha, hum sirf apni beti ki wajah se sath han or hamare darmian aisa mia biwi wala koi rishta nahi ha kya aik talaq kay bad bhi iddat zarori ha me job karti hon plz mujhe jald uz juld is ka jawab den 
Answer Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.