Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question i just want to knw kya janabat ka aur haze ka gusl ek saat kr sakte hain ya ek hi din alag alga gusl kr skte hai 
Answer Jis shaks per kae(many) ghusl wajib hoon wo in sab ki niyat ker k aik ghusl ker sakta hay or zahir ye hay k agar in main se kisi aik makhsoos ghusl ki niyat karay tu wo baqi ghuslo k liay kafi hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 387). Note: is fatway se 3 baatain wazeh ho rahi hain k 1-aap ghusl e janabat or ghusl e haiz dono ki niyat ker k aik hi ghusl ker sakti hain. 2-aap ki merzi hay k ghusl e haiz ki niyat ker k ghusl haiz karain or phir ghusl janabat ki niyat ker k ghusl e janabat Karain. 3-aap kisi aik ghusl ki niyat ker lain tu bhi aap k baqi ghusl ada hojain gay. Maslan aap per ghusl e janabat or ghusl e haiz wajib hay tu aap agar ghusl e janabat niyat se ghusl ker lain tu phir aap per wajib nahi k ghusl e haiz bhi karain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.