Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question g slam main ye puchhna chahti hoon ki namaz parhte huye achank kuchh kheyal ate hai or main apna deyan namaz me lagana chahti hoon to kaise kheyal ane ki siqayet ko door karoon? 
Answer Aap pabandi or takeed k saath halat e qiyaam main apni nazar sajdagaah par or, halat e ruku main dono qadamo k demiyaan or jab baithay ki halat main apne daman par nigaah rakain tu ye cheezain namaz main tawajjah paida karain gi.(Ref:A.Sistani(d.b),Mujtahid se pochay day sawalaat,part#3, sawaal#76 ) Mustahab hay k Al-hamd or sorah perhtay waqt ayaat k matlab(meaning) ki taraf tawajjah rakhain. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1004). Namazi ko khiyaal rakna cahhiay k namaz ko jaldi jaldi nah perhay or namaz ki halat main khuda ki yaad main rahay, or khushu or khuzu or waqaar or yaksoo,e se namaz perhay or ye khiyaal rakay k kis hasti se kalaam ker raha hay or apnay aap ko khuda ki azmat or buzurgi k muqaablay main haqeer or na cheez samjhay.agar insaan namaz k doran pori terah in baato ki taraf tawajjah rahay tu wo apne aap se bay khaber ho jata hay. Jaisa k namaz ki halat main hazrat imeeril momineen Imam ali (a.s) k paon se teer khainch liya gaya or aap ko khaber tak nah hoe.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# after 716). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.