Question |
Assalamu alaikum hazarat saheb aur aapki saari team ko
mera naam Moinuddeen aur meri maa ka naam Roshanbi aur meri biwi ka naam shaakira beguam aur un ke maa ka naam Farida beguam hai. meri shadi hokar unqareeb do saal pure hone waale hai aur aulad ke leye har ilaaj zaari hai magar koi result nahi.ek saal ke andar ek baar hamal kayam paya tha magar ho sakith hogaya aur uske baad ab tak hamal karar nahi paaya.meri biwi ne saath roze bhi rakhe magar ab tak kuch nahi.aur shuru main meri biwi ko haij mahina aur do mahine tak nahi huwa aur is ki shikayat thi ab ho thik hai magar ab kya horaha hai aur kyun hamal karar nahi paa raha isliye bahut pareshan ho
mai Hazrat sahab se ye janana chahata hu ke ilm o adab me kya koi bandish hai ya nahi aur agar nahi hai to hamare leye hazarat sahab duwa kare aur munasib koi vazifa aur tavijaat aur amal bathaye aur aap se darkhawast hai ke mojko mail zaroor kare kyun ke munasib wakt par tv dekha pana mushkil hai.HAMARE LIYE ALLAHA THALA SE DUA ZAROOR KARE aur meri madad kare.aur mere walid saheb ka operation hai aur vo caricanoma prostate bemari main mubtila hain aur mere valid saheb ke liye zaroor dua kare please reply...........
ALLAHA HAFIZ |