Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name related to love marrage 
Question Asalam alikum mein 4 saal se kisi se mohabbat karti hoon,us dauran main nay chahtey hoye sab janty hoye k zana gunnah kabeera hai apny bf k sath zana kia...meine kasam khai thi ke mein zana nahi karungi par phir se vahi galti dobara hui,mere Bf ne rishta bheja tha mere ghar par,ab vo shadi ke liye inkar kar rahe hai kyunki mein unki mummy ko pasand nahi,main itna pachta rahi hun haar waqat dil main ALLAH se tuba kerna chati hun ke is gunnah ki tuba hai..aur ab mein kya karu! ki wo mujh se shadi karle kyunki mein ab kisi aur se shadi nahi kar paongi 
Answer Agr qasam sharae sharton pr mushtamil thi to is ki mukhalifat ki surat mn kaffara wajib hoga, kaffaremen bhi pehle 10 faqeeron ko pet bhar khar khana khilana ya phir unhen poshak (libas) pehnana hoga, han agr ye kaam na kar saken to phir 3 din musalsal roze rakhne honge.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633)Haqiqat e tauba gunah ki anjaam dahi per nidamat (pashemani) hay.or isi liay kaha gaya hay k “nidamat hi tuba hay”. or waazeh hay rahay k haqiqi nidamat hamesha gunah ke na krne k mazboot iraday or dobara is ki taraf na palatnay k iraday k saath hoti hay. or haqiqi nadim shakhs zaroor bil zaroor apnay pichlay gunaho ka izala or tadaruk kerta hay.agar os ka gunah huqooq e khuda main se ho tu khuda ki baargaah se maghfirat talab karay, taubah faqat astaghfirullaah kehnay se nahi ho jati, balkeh nidamat or hamesha gunah k terk kernay ka mzboot irada or os ka tadaruk lazim hai, Albattah agar tauba k baad gunah karay tu bhi remat e Khuda se mayoos na ho balkeh zarori hai k dobarah tauba Karen, Q ke Khuda kareem or meherban hai, or bakshnay wala hay.or tauba kernay walon ko doost rakhta hay.hadees e shareef main hay k: “ Aik lamhah r fikr kerna 60 saal ki ibadat se behter hay” or tauba main asar andaaz cheez ye hay k azmat e Khuda or os ka apnay bando per haq or khuda ka her jagah hazir o nazir honay per fikr kerna hay.or isi liay hadees main ayay hay: “tanhaae main bhi gunah k anjaam dainay se per haiz karao k Khuda hazir or daikhnay wala hay.( Ref: email rcvd from Aqae sistani(d.b), dated:17-08-2011) . Update on dated 30-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.