Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question Salaam. kon kon say Ghusul Sharen Mostahib Sabit hain jin kay bad wazoo ki zarooret nahi hoti? 
Answer Islami Shareat main bohat say ghusl mustahib hain,jin main say chand ye hain.1-Ghusl e Juma,2-7-Ramzan ki 1st,17th,19th,21st,23rd aur 24th raat ka ghusl,8-9- Eid ul Fitr aur Eid e Qurbaan ka ghusl,10-11-Zilhajj kay 8th aur 9th din ka ghusl,12-Us shakhs ka ghusl jis nay apnay badan ka koi hissa aisi mayyat kay badan say mass kiya ho jisay ghusl day diya gaya ho,13-Aihraam ka ghusl,14-Haram e Makka main daakhil honay ka ghusl,15-Makka Mukarrama main dakhil honay ka ghusl,16-Khana e Kaaba ki ziarat ka ghusl,17-Kaaba main dakhil honay ka ghusl,18-Zibah aur Neher kay liye ghusl,19-Baal Moondnay kay liye ghusl,20-Haram e Madina main dakhil honay ka ghusl,21-Madin e Munawwara main dakhil honay ka ghusl,22-Masjid e Nabavi main dakhil honay ka ghusl,23-Rasool SAWW ki Qabr e Mutahhar say widaa honay ka ghusl,24-Dushman kay saath mubahila ka ghusl,25-NauZaida bachay ko ghusl daina,26-Istikhara karnay ka ghusl,27-Talab e Baaraan ka ghusl...In tamam ghusloon kay baad wuzu karna zaroori nahi hay.(Aihtiyat-e-Mustahib ye hay kay Wuzu bhi karay)Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.643,636. 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.