Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question mera sawal yeih hai ka agar ko e jawan howa aur us ki mani bhi nilalti hai lakin us ko ghusal ka pata nahi tha kay kis tarah kartay hain aur ghusal kay baghir he namaz ada karta raha to ab us ko kya karna chaiyay kya ko e kafara ada karna ho ga 
Answer A.Sistani kay nazdeek us ki namazain batil hain,aur usay tamam namazoo ki qaza karni hogee magar koi kaffara nahi hay.*:Agar usay ghusl kay hawalay say hi maloom nahi tha aur us nay ghusl nahi kiya balkay wuzu kar kay namazain parh lee to wo chahay Jahil-e-Qasir ho ya Jahil-e-Muqassir ho is ko tamam namazoo ki qaza karni hogee.*:Agar usay ghusl kay hawalay say to maloom tha laikin ghusl ka tareeqa maloom nahi tha to agar us nay ghusl is tarah say kiya kay pehlay sar dhota tha to is ka ghusl sahih hay aur agar aisa nahi karta tha to agar wo jaahil-e-qaasir tha to namazoo ki qaza nahi hay aur agar jahil-e-muqassir tha to qaza laazmi hay.....** Jahil-e-Qaasir:Jis kay liye masala maloom karna mumkin na ho...** Jahil-e-Muqassir:Jis kay masala maloom karna mumkin ho aur wo kotahi karay ya jaan boojh kar maloom na karay.Ref:Jadeed Masail Book-2 Pg.No.92,Mujtahid say poochay gaey sawalaat Book-3 Pg.25,Book-1 Pg.No.23. 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.