Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Ayatullah Sistani 
Question Plz adivise fatwa about smoking & chewing tobacoo. 
Answer 1)cigratte nooshi is surat me haram ho gi jab is se mustaqbil(future) me hi sahi, koe barha nuqsaan pounchta ho. Farq nahi parhta k is nuqsaan ka yaqeen ho, gumaan ho ya aisa eithmaal ho jis se uqlaa(ahl e ilm) khoof mah’soos karain. Laikin agar kisi baray nuqsaan ka khatra na ho, agar chahe kasrat se istemaal na karna ki wajah se ho , cigratte nooshi main koi haraj nahi. 2)Agar ba’qaidgee se cigratte nooshi se koi barha nuqsan pounchta ho to usa tark karna zurari he. Magar ye k cigratte nooshi tark karne se bhi itna hi barha nuqsaan pounchta ho ya is se barha bura nuqsaan pounchta ho ya cigratte nooshi tark karne se is qadar tang aa jaay jo aam halaat me na-qaabil e bardaasht ho. (Ref : Jadeed faqhi masail , ques # 358 , pg # 218,219) 3)Manshiat k musalsal istemal ya kisi aur jehat sai agar ziada nuqsan ho to is ka istemal haram hai. bal k ehtiyat e wajib k tor par har halat mai is k istemal sai perhaiz krna chaheay magar ye k tibbi nuqta e nazar sai is ka istemal na-ghazeer ho aisi surat mai ba-qadr e zaroorat istemal kia jae. ﻮﺍﷲﺍﻠﻌﺎﻟﻢ (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 358, 357, pg # 218) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.