Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name ayat ullah sistani  
Question salam SITUATION YEH HE K agr aik baligh larka or larki ne sirf zubani nikkah kia ho chup ke,or mehr ada na hua ho or rukhsati bhy na hui ho jabkey un key darmiyan azdawaji talluq b qaim hua ho. 1.kuch sangeen wajuhaat ki bina pe larki is nikkah se alag hona chahe tau shariah me kia hukum he? wo kese alag hosakty he agr uska shohar usko tallaq dene pe razi na ho tao, jabkey wo uskey saath b nahy rehty he , na hi ussey mehr or naan nafqa talab kerty he? 2. kia wo hakim e sharia k pas jakey khula talab kerne ja sakty he? 3. kia khula k baad uspe iddat lazm hogy?? 4. agr wo QUran o Itrat se madad or rahnumayee lena chahe is condition me to kissey ruju kerey? PLZ sawal 1 2 3 or 4 ka hal jald se jald bataey. JAZAKALLAH 
Answer Nikah ki shara,it: Nikah ki chand shara,it hain k:- 1. ehtiyaat wajib he ke seghah sahih arabi me parha jae. 2 ye ke mard w orat ya uska wakeel sigha parhte waqt qasde insha rakhte hon. 3 sigha parhne wala ethiyaat ki bina per baligh aur aaqil hoon . 4)mard aurat mu,aiyan hoon 5)mard aur aurat shadi per razi hoon.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2379) 3- kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2333) . Agar nikah biyaan ki gae shara,it k mutabiq nah ho tu ye nikah hi batil hoga or kisi qism ki talaq or yaiddat ki koe zarorat hi nahi hogi.or bil farz agar ye nikah tamaam shara,it k mutabiq ho tu aap k sawalaat k jawabaat darj zail hain. Ans:1-Agar bivi shohar se alag hona chahti ho tu wo shohar se talaq ka mutaalba ker sakti hay, jab k shohar par talaq daina wajib nahi hay.(Ref:Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 428). Ans:2-Agar shohar bivi k azdawaji huqooq ki ada,igi se inkaar karay or talaq dainay per bhi aamada nah ho or hakim e shara(Mujtahid) ki taraf se in dono main se kisi aik ka paband banana y k bawajood shohar os par amal nah karay tu zauja, hakim e shara se talaq ka mutalba ker sakti hay jo iska seegha e talaq jari karay. Is k alawa in halaat main bhi yehi hokum nafiz hoga. (i) jab shohar naan o nafaqqah or osay talaq dainay se inkaar karay or is sorat ka hokum bhi yehi hoga jab bivi ka naan o nafaqqa dainay ki isteta,at(taqat) nah rakhta ho or talaq dainay per bhi aamada nah ho. (ii) Jab shohar bivi ko aziyat day, os per zulm karay or os se acha sulook nah karay, chunacha (Quram main) Khuda ne bhi yehi hokum diya hay. (iii) Jab shohar bivi se kinara kash ho jay is terah k nah wo shohar daar rahay or nah mukammal azaad. Laikin jahaan shohar bivi ki jinsi khahish ko mukammal taur per pora nah kerta ho jis se os k gunah ka murtakib hone ka khatra ho, is sorat main agarchah ehtiyaat e wajib yehi hay k shohar bivi ki khahish pori karay ya os k talaq k mutaalbay ko ko pora karay. Laikin agar shohar aisa nah karay tu bivi ko sabr or intezaar kerna chahiay.(Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 428). Ans:3- Sirif 3 qisim ki talaq k baad iddat nahi hoti in k alawah baaqi tamaam talaqo k bnaad iddat rakhni wajib hoti hay. Wo 3 qisim ki talaq ye hain: 1- os lerki ki talaq jo 9 saal(chand k hisaab se) se kam ho. 2-wo aurat jo yaisa ho .{yaisa aisi aurat ko kehtay hain jis ki umar 50 saal hogae ho or umar rasida hone ki wajah se osay haiz nah aata ho or dobara aanay ki ummeed bhi nah ho} . 3- os aurat ki talaq jis k shahar ne nikah k baad os se hambistari nah ki ho. Talaq e Khula: os aurat ki talaq ko jo apne shohar ki taraf maa,il nah ho or os se nafrat kerti ho apna mehr ya koe or maal osay baksh day taakeh woo say talaq day day, talaq e khula kehtay hain. Talaq e khula main mutabar hay k aurat apne shohar se is qadar shaded nafrat kerti ho k osay wazifa e zaujiyat(maslah hambistari ) ada nah kerne ki dhamki day.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2492). Ans:4- Aap Madrasa Quran o Itrat Academy main subah 9:00 am se 1:00 pm tak phone ker k Ayatullah Sistani(d.b) vakeel Hujatul Islam wal muslimeen Aqae Maulana Ali Raza Mehdavi ker k apnay mislay ka hal talab ker saktay hain ya phir mulaqaat bhi ker saktay hain. Or Madrasa Quran o Itrat Academy ka contact number 021-32226948, 021-32237207 hain.(Ref: http://qoitrat.org/about/). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.