Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Sunni 
Question aoa mery nikah ko 3 hogay aur rukhsati ni hoi aur main apny shohar say khula layna chati hoo plz koi ka qanoni tariqa bata day jazak Allah 
Answer Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Talaq e Khula: os aurat ki talaq ko jo apne shohar ki taraf maa,il nah ho or os se nafrat kerti ho apna mehr ya koe or maal osay baksh day taakeh woo say talaq day day, talaq e khula kehtay hain. Talaq e khula main mutabar hay k aurat apne shohar se is qadar shaded nafrat kerti ho k osay wazifa e zaujiyat(maslah hambistari ) ada nah kerne ki dhamki day.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2492). Note: aap apne shohar ko talaq daine par razi Karin k wo aap ko talaq day chahay wo baghair kisi raqam ko wusool kiay baghair aap ko talaq day ya phir aap apna mehr ya koe or maal osay baksh day taakeh woo say talaq day day.yehi iska qanoni or sher,e hal hay. Q k agar shohar apne tamaam huqooq e shar,e puray ker raha ho to os ko koe bhi majboor nahi ker sakta k wo apni bivi ko talaq day.(ref: ehkaam e azdawaaj, Frasi kitaab, pg#148)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.