Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Agr Ali (s.a.w.w) ke bagher Rasul (s.a.w.w) ki Risalat mukamal nai hoti to hamari namaz kaisay mukamal ho jati ha ??? 
Answer Tashahud main shahadat e salisa perhna ehtiyaat e wajib ki bina par jaiz nahi hay. (Ref: http://www.sistani.org/index.php?p=827020&id=855). Agar jahil e qaasir hone ki wajah se aisa ho tu koe qaza nahi hay, or agar jaahil e muqassir (qosoorwaar ) aisa karay tu ehtiyaat e lazim ki bina per on namazo ki qaza wajib hogi. (Ref:http://www.sistani.org/index.php?p=297396&id=368&page=3&perpage=10). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Note: Quran e kareem ki sorah e hujuraat{sorah#49} ki ayat#1 main khuda ka ferman hay k “emaan waloon! Khaberdaar khuda or rasool(s.a.w.w) se aagay nah berh jao or khuda se daro baishak Allah her baat ka sunnay wala or jaanay wala hay. Laihaza jab kisi sahi hadees main is ka zikr nahi kia gaya tu hum ko ye huq hasil nahi k apni merzi se deen main izafa karain.or deen e Islam main qiyaas ko dakhal nahi hay k apni naqis daleelo ki bunyaad par ibadaat main shahadat e salisa or in jaisi doosri cheezo ko dakhil karain.  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.