Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Khoie 
Question Salaam.. sawaal karne se pehle guzarish ke email address plz publish mat kijeye ga.. Mera sawal ye hai ke mai ek shia larki hun..30 yrs old aur ek hum umr shia larke se pyar karti hun..larka mashallah qualified hai..dunyawi aaitbaar se bhi aur religous bhi hai..balkay samjhe Zakir Ahlebayt hai..hum dono shadi karna chahte hain magar mere waldayn razi nahi ..iss ki waja unka ye sochna hai ke ek Zakir ke sath mai khush nahi reh sakti jab ke mai ye sochti hun ke ye meri khush naseebi hogi ke mai ek Zakir se nikah karun.Iss soorat mai mai kya karun? Jo larka hai, woh ek zakir hponay ki wajah se bhaag kar shadi karne ke haq mai nahi.. 
Answer Jo larki baligh & rasheeda (means apni bhalai aur burai samajh sakti ho) agar woh shadi karna chahay aur kanwari ho to aihtiyat-e-wajib ki bina par usay chahiyeh ke apnay baap ya dada (grand father) (kisi bhi aik se) ijazat lay.albatta, maa aur bhai ki ijazat laina zaroori nahi. (lekin agar larki kanwari na ho. ya kanwari to ho lekin baap ya dada se ijazat laina, in ke maujood na honay ya kisi aur waja se mumkin na ho aur larki shadi ki zaroorat-mand ho to (is soorat mein) baap ya dada se ijazat laina bhi zaroori nahi hai. (Ref: A.Khoie, tawzeeh-ul-masail, masla no. .2385,2386) .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.