Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question Assalamu alkum Meri age is waqat 33 saal hai mujh namaz qazai umerei aada karni hai kese ki jai gi 
Answer Qaza namaz parhnay ka wohi tareeqa hay jo Ada namaz parhnay ka hay albatta Qaza namazoo main tarteeb lazim nahi hay,siwaey un youmiya namazoo kay jin ki ada main tarteeb hay ,masalan zohar kay baad asar ya masalan maghrib kay baad Isha.Aur agar kisi ki namazain qaza hogaee hoon aur wo un ki tadaad na janta ho ya bhool gaya ho masalan 4 baqi hain ya 5 ya is say ziada to agar wo chotay adadkay hisab say parh lay to kafi hay,(yani jis kay baray main 100% yaqeen hay kay kam az kam itni namazain to qaza hoi hi hongee)balkay behtar ye hay kay itni namzain parhay kay usay yaqeen ho jaey kay sari namazain parh lee hain.(yani jis kay baray main yaqeen hay kay ziada say ziada itni namazain qaza hoi hongee,is say ziada nahi)Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.1361,1364 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.