Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name __________ 
Question asalamalykum . dear sir. MERA YE SAWAL HY KE AGAR KESI NE 3 TALAQEEN AIK SATH DEN TO KYA TALAQ WAQEE HOJAIEGI. JAB KE JIS NE TALAQ DI WO IS BAT PE PASHEMAN HY N USKA KHNA HY K US NE TALAQ JAN BOJH KE NAE DI ghusy ME TALAQ DI. TO KYA YE TALAQ WAQE HO JAE GI? 
Answer Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain. 1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.