Question |
Assalamoalykum,
mai ye janna chahta hun k agar namaz jamat me ho rahi ho aur mai saath me namaz shuru nahi kar paya, aur jab mai namaz k liye pohcha to ye nai samjh paya k namaz kis rkat me pohach chuki hai ,to maine namaz ki saf k bagal me khade ho kr furadah ki niyat se namaz padh li..to kya ye jaiyez nai hai k jamat me namaz padh rahi saf k bagal me furada ki niyat se namaz padhi jaye, aur agar ni hai to kya isse jamat me namaz padh rahe lago ki namaz batil hui..aur jamat me deri se pohachne k bawajud namaz me khade hone k kya aadab hain ..is baare me mujhe tafseel se batayen..meherbani hogi..Shhukriya |