Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Sir kiya Islam main daaf baja kar naatin parhna jaz hay ya nai plz hadees kay reference kay saath reply dijiya ga? 
Answer Rasool e khuda(s.a.w.w) ne aik hadees main fermaya hay k “Ganay walay ko apni qabar se andha, gonga or behrah uthaya jaay ga, zinakaar ko bhi aisay hi uthaya jaay ga, baansri bajanay walay ko bhi isi halat main uthaya jaay ga or daf bajanay walay ko bhi isi terah uthaya jaay ga”.(Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 552). Hadees rasool (s.a.w.w) main daf ko haram qaraar diya gaya hay laikin ye har waqt haram nahi hay balkeh is ki bhi khuch sharait hain jis ki wazahat ye hay k: Music 2 aqsaam ka hay halal music or haram music. Halal music wo hay jo lahw o la,ib ki mehfiloon(khail kood or bayhoda afraad ki mehfiloon) se munasibat or ham aahangi nah rakhta ho or Haram music wo hay jo lahw o la,ib ki mehfiloon se munasibat rakhta ho.or music ka lahw o la,ib ki mehfiloon se munasibat rakhne ka matlab ye nahi hay k music ya ghina(song) ka lehen nafs ko rahat or sokoon pohnchay or oski kaifiyat ko tabdeel keray.is liay k ye cheezain tu durust hain, balkeh iska matlab ye hay k music ki awaaz or ghina(song) k lehen ko sunnay wala, khusoosan agar wo shaks jo in cheezon ki khosoosiyat se bakhaber hoon, is baat ki tashkhees karain keh ye lehen lahw o la,ib main istemaal hota hay ya is lehen se shahabat rakhta hay jo lahw o la,ib main istemaal hota hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 546)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.