Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Mujhe nahi Pata 
Question kya hum log muth mar sakte hai... meri shadi nahi huyi hai aur na koi gf hai.... 
Answer 1-Hand practice(Istimna) karna kisi bhi zariay se ho haram he. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 462 pg # 253). 2-Jo shakhs shadi na karnay ki wajah se fail e haram me mubtila hota ho os per wajib he k shadi karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) ghunahoon se bachnein k bohat se tariqe hain jin me se chand ye he k 1)mout ki yaad ko dil main bassa’en 4) ye tassawur karain k khuda aap ko har waqt dekh reha hay. 3-Sachay dil say tauba karain Parwardigaar ne quran me wadah kia he k wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.