Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name hanfi 
Question kiya farz namaz me imam k pichay sora fatiha nahi padhte  
Answer Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. 1)Agar muqtadi namaz e subah, maghrib or isha ki pehli or doosri rakat main Imam e jamat ki Al-hamd or sorah perhne ki awaaz sun raha ho tu chahay wo kalimaat(yani zikr) ko theek terah se nah samajh sakay zarori he k Al-hamd or sorah nah perhay or agar Imam e jama,at ki awaaz nah sun pay tu mustahab he k Al-hamd or sorah perhay, laikin zarori he k ahista perhay or agar sehwan(bholay se) buland awaaz perhay tu koe haraj nahi. 2)Muqtadi ko namaz e zuhar or asr ki pehli or dosri rak’at main ehiyaat e wajib ki bina per al-hamd or sorah nahi perhna chahiay or mustahab or afzal ye hay k on k bajaay Zikr e ilahi or dorood perhay.or isi terah zarori hay k muqtadi namaz e fajr,maghrib or isha ki pehli or dosri rak’at main al-hamd or sorah nah perh’hay(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1443,1447) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.