Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Waqt 
Question quran ya hadish ki roshni me batay ki rat kis waqt shuru ho jati he magrib ki azan ke baad ya azaan ke shath ? 
Answer Agar shak ho k soraj ghoroob hoa ya nahi or is baat ka ehtimaal ho k soraj paharoon, imaratoon ya darakhoon k peechay chup gaya hay tu zarori hay k jab tak mashriq(East) ki traf ki surkhi jo suraj ghroob hona k baad zahir hoti hai, insaan k sar ka oper say na guzar jaay maghrib ki namaz na perhain balkeh agar shak nah ho tab bhi ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay k mazkora waqt tak sabr karain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 723) Note: raat k shuru hone k liay azaan shart nahi hay k wo kis waqt hoti hay Q k mumkin hay k azaan dainay wala raat shuru hone k faran baad azaan nah day balkeh khuch dair baad azaan day ya ghalti se waqt se pehlay azaan day day.  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.