Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name systani 
Question Salaam. Mujtahid sab mene pehle bhi 2 bar apko apni preshani batai thi k me apni zoja se buht preshan hun or usy chorna chahta hoon per apki taraf se ab tak koi jawab nahi aya kal hamari phir larai ho gai or bat buht barh gai mene gussy me akar us per hath utha liya to wo mere samne agai or jharoo lekar mujhse larne lagi phir me usy apne gharwalon k pas le gaya k mujhe ab iske sath nahi rehna meri jan churao.. uske gharwalon ko bulaya uske waalid suba aye magar wo unke sath nahi gai kiu k wo apni maa k ghar nahi jana chahti kiu wo apne bchon ko chorna nahi chahti uske ma bap kehte hein agar ghar chor kar ana hy to apne bchon ko chor kar ao.. mgar me kia karoon wo mere sath wasta na rakhtey hue sirf apne bchon ki khatir ajati he per larai jhagre khatam nahi hote... ab me usy talak dena chahta hoon per wo mere ghar se nahi jana chahti to essi situation me kia kar sakta hoon kiu k ab uske sath rehna thek nahi or na hi me rehna chahta hoon... plz sir meri preshani ko smjhne ki koshish karein or jald se jald mujhe iska hal bataein moula apko iska ajar dengay... 
Answer Wazifa: 1. Hazrat Imam Jaffar e Sadiq (a.s.) se marvi he k surah e Mubarak e jumma ko sohar aur biwi k darmian it’ti’faq k lie 5 bar parhna chahaie. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 84) 2. Hazrat Imam Jaffar e Sadiq (a.s.) se manqool he k surah e Mubarak e nissa ko sohar aur biwi k darmian mouafiqat hasil karnay k lie parha jay to maqsood hasil ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 84) 3. Riyawat me he k agar sohar aur biwi k darmian ulfut o muhabbat barhani ho to is Mubarak ism ko (Al wa’dood) ko 1001 bar kisi mithi cheez per parh kar donoo ko khanay ko dia jay to inshallaha zaroor bahimi ulfut wo mubahat paida ho jay gi. aur ikhtilaf khatam ho jay ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 83) 4. Agar mian biwi me ikhtilaf ho gye ho to danoo me se aik awal o aakhir 11 bar salawat kay sath ba’wazu qibla rukh musalay per baith kar 100 martaba darg zail kalimat ka wird karay to haftay bhar me hallat saz gar ho kar daimi mohabbat me tabdeel ho jain gay. (Bismillah hir’rah’ma’nir’ra’heem bismillah hil waa’si’ea jal’la’jala’la’hoo) Fiqhi masa,il: 1- Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) . 2- Jis shaks ne apni aurat ko talaq e raj,e di ho os aurat ko os k ghar se bahar nikaal daina jis main wo talaaq k waqt rehti thi, haram hay. Or iddat k doran k akhrajaat shohar per wajib hain. 3- Agar shohar talaq ki tamaam shara,it ki pabandi kertay hoay talaq day tu jis aurat ko talaq di gae ho agar wo 9 saal ya os se ziayada ki ho , ya,isa nah ho, (jis aurat ki umar 50 saal hogae ho or umar rasida hone ki wajah se osay haiz nah aata ho or dobara aanay ki ummeed bhi nah ho os ko ya,isa kehtay hain),nikah k baad shohar ne jima(hambistari) kia ho, aurat ko teesri talaq(jis ki tafseel masla#2491 main maujood hay) na di gae ho, ye talaq talaq e khula or mubaraat na ho or ye talaq hakim e shara ki taraf se di hoe talaq nah ho tu aisi talaq ko talaq e raj,e kehtay hain, or is talaq main shohar k liay jaiz hay k wo aurat ko oski iddat k doraan os se baghair nikah k ruju ker lay. Or agar shohar iddat k doraan ruju nah karay or iddat guzarne k baad ruju kerna chahay tu wo nikah k baghair os aurat se ruju nahi ker sakta. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2412, 2486,2487,2491).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.