Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Sistani 
Question Sir muttah ka tariqa kia hai plz tell. 
Answer 1. Ehtiyaat wajib ye he k Nikah sahi Arabi men parha jaey,or agr khud mard or aurat sighah arbi main nah perh saktay hoon tu arbi k alawa kisi dosri zaban main perh sakte hain or kisi ko wakeel banana lazimi nahi hay. 2. Sighah parhne wala aqal-mand ho or agar apne liay perh raha ho to baligh bhi hona zurari hai. 3. Mard or aurat or uska wakeel sighah parhte waqt qasd-e-insha rakhte hoon (matlab ye niyat ho k abhi nikah ko Ejaad ker rahe hen) 4. Nikah Muta parhne se pehle Muta ki muddat or Meher taey kerliya jaye. 5. Pehle Orat kahe (زوجتک نفسی فی المدۃ المعلومۃ علی المھر المعلوم)(Zauwajtoka nafsee fil muddatil ma’loomati alal mahril ma’loom) Or os k baad mard foran kahe (قبلت) (qabilt) tu nikah hojayga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2334-5). Update on dated 22-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.