Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aqae Shestani 
Question Is Muta Marriage with Shemale for pleasure is allowed ? 
Answer 1)Aqad e izdiwaaj k zarie aurat mard par aur mard aurat par halal ho jatay hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #357). 2)Ab ye dekhna paray ga k khunsa -yani wo k jis k pas mard aur aurat donoo ki sharam gah(peshab ka makhraj) hon- mard hay ya aurat. Agar kisi terha say pta chal jay to osi k ahkam jari hoon gay aur agar pta na chal sakay to os ko pechannay ka ye tareeqqa hay: Dekhain gay k wo peshab kaha say karta hay agar mard ki sharamgah say kartay hay to mard ho ga aur agar aurat ki sharam gah say karta hay to aurat ho ga. Agar wo donoo sharamgahoo say peshab karta ho to ye dekhain gay k sab say pehlay kis say peshab karta hay agar mard k aalay(sharamgah) say niklti hay to mard aur agar pehlay aurat k aalay say niklti hay to aurat samjhain gain. Aur agar donoo say sath peshab karta ho to kaha gya hay k ye dekha jay k aakhir may kis makhraj say khatam karta hay agar mard say to mard aur agar aurat say to aurat samjhain gain. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #1094 , Eidition 1427 hij). Update on dated 22-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.