Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question mane aj se phele jatne nimaz pade hai mane kabi 2 ya 3 time liken me itna q kamzor ho 5 time k nimaz ba jumyat nhi pad skta plz koi hal batao 
Answer 1- Aik waqt main 2 namazain perhna jaiz hay.yani namaz e zuhar say farigh ho ker namaz e asr ko perha jay or isi terah namaz e maghrib say farigh ho ker namaz e isha ko perha jaay.or bay shak hamary nabee(s.a.w.w) nay is terah zuhar or asr ki namaz or maghrib or isha ki namaz ko baghair majboori k jama ker k perha tha.laikin afzal ye hay k tamam namazo ko alag alag on k fazeelat k waqt main perha jay balkeh awwal e waqt main perha jay. ( Ref : website ayatullaha sistani http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=112 ). 2- Rozana ki namazain jama,at k saath perhna mustahab hay.or subah, maghrib or isha ki namazo k liay, khososan masjid k parhoos main rehne walay or masjid ki azaan sunnay walay k liay bohot ziyada takeed ki gae hay.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1380). 3- Bay aytenai(yani laa perwaahi) k saath namaz e jama,at main shareek nah hona jaiz nahi hay or ye bhi munasib nahi hay k baghair uzr k namaz e jamat ko tark kia jaay.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1382). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.