Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Sistani 
Question divorce dene ke baad kia dubara koi aisi surat hay ke usi larki se shadi ki ja sake, or dalaaq ke baad rujoo ka kia matlab hay  
Answer 1- Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460) . 2- Jis shaks ne apni aurat ko talaq e raj,e di ho os aurat ko os k ghar se bahar nikaal daina jis main wo talaaq k waqt rehti thi, haram hay. Or iddat k doran k akhrajaat shohar per wajib hain. 3- Agar shohar talaq ki tamaam shara,it ki pabandi kertay hoay talaq day tu jis aurat ko talaq di gae ho agar wo 9 saal ya os se ziayada ki ho , ya,isa nah ho, (jis aurat ki umar 50 saal hogae ho or umar rasida hone ki wajah se osay haiz nah aata ho or dobara aanay ki ummeed bhi nah ho os ko ya,isa kehtay hain),nikah k baad shohar ne jima(hambistari) kia ho, aurat ko teesri talaq(jis ki tafseel masla#2491 main maujood hay) na di gae ho, ye talaq talaq e khula or mubaraat na ho or ye talaq hakim e shara ki taraf se di hoe talaq nah ho tu aisi talaq ko talaq e raj,e kehtay hain, or is talaq main shohar k liay jaiz hay k wo aurat ko oski iddat k doraan os se baghair nikah k ruju ker lay. Or agar shohar iddat k doraan ruju nah karay or iddat guzarne k baad ruju kerna chahay tu wo nikah k baghair os aurat se ruju nahi ker sakta. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2412, 2486,2487,2491). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.