Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Ayatullah Sistani Sahab 
Question Assalam u Alaikum. Mera sawal sadqe k bare me hai.. Kia hum sadqa nikal kr jama kr sakte hain and phir us ko kisi ko de sakte hain? dosra sawal hai k kia hum jama kerda sadqe se kisi ko roz mara ka saman leker de sakte hain jis se kisi gareeb ki imdad hojae? kia sadqe k koi ehkam hai? Meherbani ker k tafseelan byan fermae.. Muhtaje dua..  
Answer 1)Jee haan sadqa jama kar sakhtay hain lakin aap ko chahiey k kisi faqeer ka vakil ban kar os ki janib say apnay paas rakhaen, albatta phir wo sadqa osi faqeer ki milkiat ho ga jis k liay jama kia tha. (Ref : Mujtahid se pochay gaay sawalaat, Ayat Ullah Seestani(d.b), part # 1 , Mafhoom e sawal # 185). 2) Agar faqeer se ijazat le ker sadqa jama kia ho tu aisa kerna faqeer ki ijazat k baghiar jaiz nahi or agar baghiar ijazat k khud se sadqa jama ker rahe hoon tu aisa kerna jaiz hay or phir sadqa wohi cheez shumaar hogi. 3)Mustahabb sadqay may afzal hay k chupa k dia jaey magar ye k jab touhmat ko door karnay k liay, ya doosro ko targheeb dilanay k liay dia jaey to sadqa dikha kar k dia jaey. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1608 , Eidition 1417 hij). Update on dated 15-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.