Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question agar mard ek he din ek saat 3 talqain de de ta kia talaq waiqa ho jati ha ya ye ek talaq kehlay gi.es bare main qrqn kia kehta ha zara tafseel se batao 
Answer 1)Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “ØÇáÞ” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. 2)Agar talaq sahi di jay to jis aurat ko 3 bar talaq di jay k in talaqoo k darmian 2 bar ruju ya aqad(nikah) hua ho to wo sohar par haram ho jati hai. Han agar in srait k sath jin ka zikr talaq k ahkam mai kia gya hai wo aurat doosray mard say shadi karay to doosray sohar ki mout ya os sai talaq ho janay k baad aur iddat ghuzr janay k baad is ka pehla sohar dubara os k sath nikah kar sakta hai. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460, 2375) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.