Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name sunni 
Question aslamualikum mera swal ye hai ke humari umer 40 saal hai life me kabhi namaz padi aur kabhi nahi padi ager khaza padni hai tu kaise hisab lagoon? 
Answer Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. 1)Jis shakhs ne apni namaz un k apnay waqt me na parhi hoon to zarori he k un ki qaza baja laay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1356 ). 2) kisi shaks ko qaza namazo ki tadaat yaad nah ho k os nay kitni namazain nahi parhi hain maslan wo ye na janta ho k 3 thi 4 thi ya 5 thi to agar wo chotay adad k hisab say parh lay to kafi hai lakin behtr ye hai k itni namazain parhain k osay yaqeen ho jae k sari qaza namazain parh li hain maslan agar wo bhool gya ho k os ki kitni namazain qaza hui thi aur osay yaqeen ho k 10 sai ziada na thi to ehtiyatan 10 namazin parhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1364)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.