Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name quran pe qasam  
Question mene shadi k 2 saal k baad court k zuriye khula le li thi. is liye apna huq mehur bhi maaf kr dia tha. shadi k waqt susral walo ne kuch zever gift k tor pe diye thy. jo me ne bech diye thy kion k shor mujy khurcha nhi deta. ab susral waly wo zever wapis mang rhy hein. or chaty heink mein QURAN pe HLUF uthao k mery pass wo zever hein. jubk unho ne mera koi bhi saman muhy waois nhi dia. mera sawal ye hai k un zever pe mera huq hai k nahi???? aur agr me ye hulf uthati hoon k "AP K KOI ZEVER MERY PASS NHI HAI" tu kia k galut hoga????? 
Answer Wo zewraat jo apko tohfe k tor per mile the agr wo apne bech diye hen to ab ap k susraal walon ko wo wapis lene ka koi haq nahi hai, or na hi ap pr wapis krna wajib hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1320-1322, Eidition 1417 hij). Ap k liye ye Halaf uthana ya qasam khana k “Ap k pas ab un k koi zever nahi hain" jaiz hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 16-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.