Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Tagleed 
Question Kya hum sharmgaah dekh sakte hai? 
Answer 1-Kisi bhi insaan k liay jaiz nahi hay k wo kisi dosray mehram ya namehram ki sharamgaah ki janib nighah karay hatta k merd ka merd ki sharamgaah ki janib nighah kerna jaiz nahi hay isi terah aurat ka aurat ki sharamgaah ki janib nighah kerna jaiz nahi hay. kafir or mumayyaz bachay ki sharamgaah ki janib nigah kerna ehtiyaat e lazim ki bina per haram hay.jab k ghair e mumayyaz bachah or bachi ki sharamgaah per nigha daalna baghair e lazzat or haram main mubtila hone k khoof k baghair jaiz hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhaajus saliheen,part#3 maslah # 12,25) 2-Shohar or bivi k liay jaiz hay k wo aik dosray k tamaam jism ko daikh saktay hain,or isi terah aik dosray k jism k tamaam hisso(parts) ko jism k kisi bhi hissay(part) say choo(touch) saktay hain.ye choona chaahay lazzat k iraday say ho ya baghair lazzat k, jaiz hay.(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaa jus saliheen,maslah #11). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.