Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Kia sharab peene se janat haram ho jati hy? aur ye k agrv kisi bartn mein kisi ny sharab pi ho aur usy aik baar dho lya gya ho aur phr unhi logon ny pani aur pepsi wagera usi gilas mein pya ho aur koe aur bhi usi gilass mein pani ya botl pye to kia us pe bhi janat haram higi? 
Answer 1-Sharab peena haram hay or baaz ahadees main isay gunah e kabira btaya gaya hay.Hazrat Imam jaffer Sadiq(a.s) se riwayat hay k aap(a.s) ne fermaya: “sharab bura,eyoo ki jerh or gunaho ka mamba hay. Jo shaks sharab piay wo apni aqal kho baithta hay.wo os waqt khuda ko nahi pehchaanta, koe gunah kerne se nahi chokta, kisi ka ehteraam nahi kerta, apne qareebi rishtedaaro k huqooq ka paas nahi kerta, khullam khulla bura,e kerne se nahi shermata. Agar sharab ka sirif aik ghoont peeta hay tu khuda, farishtay, ambiyaa or momineen os per laa,nat bhaijtay hain.or mukammal mad,hoshi tak piay tu emaan or khuda shanasi ki rooh os k badan se nikal jati hay or naaqis khabees rooh jo khuda ki rehmat se door hoti hay os k badan main reh jati hay or 40 din tak oski namaz qobool nahi hoti”.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #2596). 2-jo bertan sharab se najis hogaya ho osay 3 mertaba dhona zarori hay.or ehtiyaat e mustahab hay k osay 7 baar dhoya jay.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 147) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.