Answer |
Marhoon mohaddis e kashani nay quran say istekhara karnay ka waqt ayyam hafat may zikr kia hay. Aur ye bhi farmaya hay k ye matlab mashoor hai aur phir farmaya:
Sunday ka din zohar tak aur asr say lay kar isha tak naik hay.
Monday ka din suraj niklnay tk aur ohir nihar say lay kar zohar tk aur asr say lay kar isha tk naik hay
Tuesday ka din nihar say lay kar zohar tk aur phir asr say lay kar isha tk naik hay.
Wednesday ka din zohar tk aur isha tk naik hay
Thursday ka din suraj niklnay tk aur phir zohar say isha tk naik hay.
Friday ka din suraj niklnay tk aur aur phir zawal say lay kr asar tk naik hay
Saturday ka din nihar tk aur zawal say lay kar asr tk naik hay. (Ref Mafatihul jinan pg no 214-15) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|