Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name khoie 
Question AOA. Qibla e Mohtaram.. mein dusri baar puch raha hoon.. bat ye he k meri bari bhabi jo khayalat ki khuli thin unka zehan saf tha per shohar ki azadi ki waja se wo parda nahi karti thin or aksar light kpre pehnti thin ghar wale unki ghibat karte thy magar kbhi ksi ne unhe na hi toka or na hi smjhaya me is bat se buht tang agaya tha akhir mene himat kar k unhe ek kaghaz per likh kar bataya k ap aise kpre na pehne achi bat nahi har koi apke liye bura sochta hy. unko ye bat buht psand ai or hmare bich achi dosti hogai phir me aksar bhabi k sath bethne laga ghar walon ko ye bat buri lagne lagi or wo hmare bare me gandi soch rakhne lage chlte chlte hmara sath rehna itna gehra ho gaya k hum ek dusrey se door reh nahi pate thy me bhi office se sidha ghar ajata tha or bhabi ne bhi apne mayke jana kam kar diya.. ghar walo ne hmare taluqat ko najaiz qrar de diya k hum najaez taluq rakhtey hein phir janab ye bat barhte barhte yan tak punch gai k hum such me ek dusrey k qrib agaye mene unse shadi ki khwaish ki mgar bhabi ne kaha tmare ghar wale ye nahi hone dengy, phir humne bhagne ki planing ki mgar us se phele meri walida ne humen milte hue dekh liya shor shraba ho gaya ami ne mujhe bhi 2,3 chantey marey ussy bhi wo to burqa pehn kar ghar se nikal gai me phir office chala gaya ye soch kar k ab sham me bhai aengy to bat hogi uske ghar walo ko bhi bulaya jayega... per office me meri bhabi ka fon agaya wo buht darri hui thin aisi situation me humen kuch smajh nahi aya or hum bhag ne k liye chal pare.. bhabi ki ek cosin thatta me rehti hien unho ne us ke ghar chalne ko kaha to hum sidhe whan punche mgar unki cosin ne whan rukne se dara diya phir humen rat guzarne k liye ek hotel me thehrna para dusrey din suba hume police ne arrest kar liya.. akhir hmare ghrwale hume apne sath waps le gaye bhabi apne ghrwalo k sath chali gai.. bhai ne bhi unhe dobara apna liya.. phir me piche hat gaya kuch waqt me hi ghar walo ne meri shadi kardi me khush tha mere bhai or bhabi phir se hmare sath rehne lagay mgar meri wife ek jahil aurat he bachkana harktein karti hey usne shadi k 5th day se hi bdtmizi karna shru kardi uski in harkton se me buht prshan ho gaya talak dena chaha per khandan walo ne nahi hone di 3 bar esa hua akhir us se tang akar mere dil ne phir apni bhabi ki taraf ruju karne pr mjbur kar diya wo to mere intzar me bethi thi dil se mujhe bhula nahi pai thi mgar unho ne mujhe brdasht or sabr krne ka mshwara diya per me nahi kar paya hmare qissay phir uthne lagey hum ek bar phir door ho gaye.. ab uske 3 bache hein or mere 2 per ab ye Aalam he k ab wo mujhse door nahi reh sakti or me bhi ussy apnana chahta hoon.... Aap is rishtey per roshni dalein, kia hum ghalat hein????? Plz rply immediately.... 
Answer Agar koe aadmi kisi aurat ko warghalaay k wo apne shohor se talaq lay lay or os shaks se aqd(nikah) ker lay tu talaq or nikah sahi hain.Laikin dono ne bohot berha gunah kia.(yani aurat or os ko behkane walay ne).(Ref: Ref:Ayatullah khoe(R.H), Tauzihul masail, Maslah# 2547). Note: jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.