Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Ayatulla Sastani 
Question Asalam O Alakum mani phale bhi sawal kiya tha jawab nahi mila mera 3 sawal ha phale ya ka agar koi aurat parda karti ho shariyat ka hisab sa laken us ka shohar us ko coat sacrf phan kar pardeye ka khaye to us aurat ka liya kya hukm ha dosra sawal ha ka arga r nikkah ka bade mard par wajeb ha ka aurat ko kharcha daye ruksati sa phale theesra sawal ka mard agar aurat ko majboor karaye ka wo coat scarf phaen kar hi parda karye aur wo na mane to kya hukom ha aur mane to mard ka liya kya gunah ha please reply karye 
Answer 1-Agar bivi mukammal sher,e perda kerti ho tu phir bhi shohar kahay k coat scarf pehno tu bivi k liay shohar k baat maana wajib nahi hay, or na hi shohar per wajib ya mustahab hay k wo apni bivi ko caot or scarf k liay amar bil maroof karay.Q k Islam ne faqat mukammal sher,e perda kerne ka hokum diya hay nah k coat, scard ko perday main shumaar kia hay.(Ref: Ayatollah sistani(d.b),minhaajus saliheen, part#3, amslah#337-339) 2-Jee haan,naan o nafqa daina wajib hay. Siwaay is sorat k keh koe aisi alamat ho jis se tay ho jay k naan o nafqa daina zarori nahi hay chahay isi aitebaar se keh riwaaj hi asia ho(k rukhsati se pehlay naan o nafqa nahi dia jaata ho).(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Mujtahid se pochay gay sawalaat#4, jawaab#142). 3-Aurat k hoqooq main se aik huq merd per ye bhi hay k merd osay aziyat o azaar nah pohnchay or kisi sher,e wajah k baghair os k saath sakhti or tursh rawi(naraazgi or ghussaa) se paish nah aay.(Ref: Ayatullah sistani, Tauzeehul masail, maslah#2376). Bivi k liay shohar ki is baat per amal kerna wajib nahi hay or shohar ko bhi ye huq nahi k wo os k saath kisi sher,e wajah k baghair sakhti or tursh rawi(naraazgi or ghussaa) se paish aay. Note: oper jo hokum biyaan hoa hay wo faqat wajib or haraam ki had tak tha, Liakin hum aap ko nasihat kertay hain k bivi or shohar k dermiyaan piyaar o bohabbat ka rishta hota hay, aaqa or kaneez ka nahi, laihaza aap agar chahtay hain k aap ki bivi mukammal perday k bawajood scarf or coat pehne tu aap ye baat os ko piyaar o muhabbat se kahain “mairi khahish he k aap ye pehno or agar aap mujh se sacha piyaar kerti ho tu mairi ye baat mano warna nahi maano” or bivi ko bhi apne shohar ki har jaiz khahish pori kerne ki koshish kerni chahiay or os k dil ko khush kerna chahiay. (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.