Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Mera sawal ye hai k mein jb kabhi koi ghalt video, sexy story etc parhta hun to mere penis se kuch pani type cheez niklti hai jo itni garhi nahi hoti, kia us k niklne se mujh pr ghusal wajib hota hai ya nahi? Plz mujhe ye lazmi bta dein, mein kai dafa isi masle ki wajah se namaz bi chor deta hn. Plz reply fast. 
Answer 1-Ehtiyaat e wajib k taur per fahash filmoo aur tasveeron ko dekhna haram he agar chaha shak aur lazzat k bagair dekha jaay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254) 2-Agar aap ko kisi tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. Mani ki 3 alamatain hain. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. or wo rutubat jo kabhi kabhi lazzat k aanay per{maslan kisi aurat se baat kertay hoay ya lazzat ka khiyaal sochtay hoay} merd k paishaab ki naali say nikalti hay, osko mazi kehtay hain wo paak hay.mazi nikalnay per ghusl bhi wajib nahi hota or naa hi wuzu baatil hota hay.(Ref:Ayat ullah Khamenae(D.B)Istiftaat Part #1,sawal#99 & taleemul ehkaam Pg#27,67). 3-Do cheezo say insaan junub(halat e janabat) hojata hay. i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. 4-Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356). 5-Wo ratubat jo khabi khabi shehwat ubhrney per mard k peshab ki nali se kharij hoti he usay mazi kahte hein aur wo paak he. Us se ghusl wajib nahi hota or wuzu bhi batil nahi hota.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 70,71). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.