Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question mere betay ki umar 29 hai, us ne namaz 1 mah se regular pardhna shuru ki hae, baki umar nhi pardhi ab us ki qaza namazo ka kia hoga, kia us ko pura karne ka koe hal majood hae please reference k sath bateye ga. 
Answer Jab say aap ka beta baligh hua ho os waqt say ab tak ki namazain qaza parhni parain gi maslan aap ka larka 1 januray 1998 ko chand k hisab se 15 saal ki umer may baligh hua ho to os ko 14 saal ki qaza namazain parhni parain gi. Aur yaad rakhain k jis ki namaz qaza ho jain to zarori hay k is ki qaza parhnay may kotahi na karay albatta in ka foran parhna bhi wajib nahi hay. Aur yomiya namazoon ki qaza karnay may tarteeb lazim nahi hay magar in namazoon may jin ki ada may tarteeb hay maslan aik din ki namaz e zohar aur asar ya maghrib aur isha. Aur jab tak insan zindah ho chahay wo apni qaza namazain parhnay say qasir hi Q nah ho koe doosra shakh oski qaza namazain nahi parh sakhta hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1356-70 ) . (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.