Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question sallam ...main 21 sall ka larka ho ..main 4 waqt kiAllah k fazal sy namzin ada karta hon fajor ki namaz rah jaty hai...sir mara ap sy ya sawal ha k main namzin parhny k bawajood porn sites dakhta ho week main 1 ya 2 martba or main ny apni zindagi main 3 martba zina b kia ha lakin main is haram kamm sy nahyat sharminda ho ap mjhy koi asa kam batin jiss sy main Allah ka razzi kar lo mari age 21 year ha 
Answer 1-Zina karna gunah e azeem hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhaajus saliheen,part# maslah #29 ) 2-Fehesh manaazir(sexy movie/ picture) lazzat ki nigaah say daikhna haraam hain or ehtiyaat e wajib ki bina par lazzat k baghair bhi daikhna haram hain. (Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded fiqhi masail, maslah #492-3). 3-jo shaks shadi nah kerne ki wajah se haram kaam main mubtila hota ho os par wajib hay k shadi karay.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2407). 4-First of all you must repent and pray to Almighty Allah (swt) for forgiveness and promise yourself not to do that sin again and always remember that Allah (swt) is looking at you and by doing that sin you do obey devil and disobey Allah(swt). Also try to engage in some useful activities such as sport reading ..etc and avoid anything that may arise your sexual desire. Also if you cannot control yourself then you must get married.(E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010) Translate: sub se shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or this gunah ko anjaam day ker aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah kin a-fermani ker rahay hain.aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perha,e waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar aap khud par qabo nah paa saktay hoon tab aap k liay zarori hay k shadi karain. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.