Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question Asalam o Alakum Ya Ali Madad Hazrat meri madad farmeye mainne aik talak shuda orat ko Nikah e Mutta ki niyat se sighah parrhaya or baad main ose wazeh kiya ab kiya mera os se nikah e mutta hogeya ya nahin or mene ose kai baar sms main sighah likha jo os ne parrha or mene jawab main qabilt kaha hay yahi nahin ose sighah ke word sunae bhi hain meharbani kar ke madad farmeye . dosera masla ye hay ke agar hum Nikah e Mutta karte hain or zahir nahin karte to kiya hum par gunnah hoga . main shadi nahin kar sakta wajha sirf halat ki hay to kiya ese main mujhe par mutta jaez hay ya nahin. sighah parrhne se nikah hota hay ya nahin ?  
Answer Agar seeghe parhte waqt aap dono ki niyat muta ki thi, or seeghe parhne se pehle muta ki muddat or haq e meher taey ker liya tha to aap ka nikah e muta sahi hai, (sms waghera ya phir kaghaz per seeghe likhne ka koi share aytebaar nahi hai), Or aap chahe shadi ker sakte hoon ya nah ker sakte hoon aap k liay nikah muta kerna jaiz hai, aap per koe gunah nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2328-2335). Update on dated 22-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.