Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Agha e sistani 
Question mera sawal ye hai k mai som o salat ka bohut paband hoo or filmay b nahi dekta pir b jinsi bechani ka shikar hoo...plz bataye mai kia karo? Kia islam mai khud lazati jaiz amal hai?mujay ye problem b hai....... 
Answer 1) Jo shaks shadi nah kerne ki wajah se haram kaam main mubtila hota ho os per wajib hay k shadi karay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah # 2407). 2) Musht zani(hand-practice) haram hay.or taqwa e ilahi k zarye se is adat se nijaat hasil ki jay.or jin cheezo or maqamaat se jazbaat main tehreek(harkat) paida hoti hay un se door raha jay.or Allah e subhaan ka kasrat se zikr kia jay or shadi kerne main jaldi ki jay.or ye adat se bachne k liay ye sakht koshish ki jay or roza rakha jay q k roza burai say bachnay k liay dhal hay. (Ref: http://www.sistani.org/index.php?p=297396&id=262 ). 3) First of all you must repent and pray to Almighty Allah (swt) for forgiveness and promise yourself not to do that sin again and always remember that Allah (swt) is looking at you and by doing that sin you do obey devil and disobey Allah(swt). Also try to engage in some useful activities such as sport reading ..etc and avoid anything that may arise your sexual desire. Also if you cannot control yourself then you must get married.(E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010) Translate: sub se shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or this gunah ko anjaam day ker aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah kin a-fermani ker rahay hain.aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perha,e waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar aap khud par qabo nah paa saktay hoon tab aap k liay zarori hay k shadi karain. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.