Answer |
dauran-e-hamal (during pregnancy) mein jima karna jaiz hai, chahey koi sa bhi mahina ho. aur bachay ki wiladat kay baad jab nifaas ka khoon (blood) band ho jai to jima karna jaiz hai. aur agar khoon 10 din se ziyada jari rahay to yeh khoon-e-haiz ki tarha hoga. yanay agar is ki haiz ki adat kay ayyaam maslan (for eg.) 7 days hain to 7 days tak nifaas shumaar hoga. aur baqya dino kay liyay tafseeli kitab mein "istehaza" ke ehkaam ki taraf ruju karain.aur agar yeh khoon 10 days se ziyada nahi aae to phir yeh poora nifaas shumaar hoga. REF: A.Sistani, www.sistani.org, chapter: jima, Q: 5+25. |