Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name aaytullah sistani 
Question salam baap dada ke time ki purani zamin thi kab li thi uspe khums nikala tha ke nahi wo kuch nahi pata .. abhi wo zamin bech di hai to kya us par khums dena padega ? kyu ki agar baap ka karz baki hai to pahele karza ada kare ki khums ? ya karza ada karke jo amount bachti hai us par khums dena hai ? plz ans me  
Answer Agar kisi shaks ko miraas milay or osay maloom ho k jis shaks se osay miraas mili hay os ne oska khums nahi diya tha tu zarori hay k waris oska khums day.isi terah agar khud os maal per khums wajib nah ho or waris ko ilm ho k jis shaks se osay wo maal(maslan zameen) wirsay main mila hay os k zimmay khums wajibul ada tha or os ne ada nahi kia tha tu zarori hay k os k maal se khums ada kia jaay. Laikin dono sortoon main jis shaks se maal wirsay main mila ho agar wo khums dainay ka aqidah nah rakhta ho ya ye k khums daita hi nah ho{yani kabhi dia hi nah ho} tu zarori nahi hay k waris wo khums ada karay jo os shaks per wajib tha.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1725). Jaisa k abhi btaya tha k agar merhoom khums dainay ka aqidah nah rakhtay hoon ya ye k khums daitay hi nah thay tu waris par miraas se merhoom ka khums ada kerna wajib hi nahi hay,laikin agar merhoom khums dia kertay thay thay tu agar waris ko yaqeen ho k merhoom k zimmay khums wajib tha ya miraas main jo maal mila hay os per khums wajib tha tu phir merhoom per jitna khums wajib tha os ko miraas se ada kia jay ga or mukammal qarz bhi ada kia jay ga.qarza ada kerne k baad baaqi bachi hoe raqam ka khums daina sahi nahi.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1725,2682) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.