Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name agha sistani 
Question salaam. mujhy ye pochna tha k tashud e namaz mein jo paeesh namaz shahdat e salisa yani ali un wali ullah parhta ho un k pechay us namazi ki namaz ho sakti hai jo shahdat e salisa ni parhta ar jis ka mujtahid iski ajazat ni deta.plz jawab zaror dain pehlay bi ye sawal kar chuka hon lakin jawab ni mila. 
Answer Agar mamoom(yani namaz e jamaat main shamil namazi) or imam e jama,at k dermiyaan namaz k ajza(parts) or shara,it main ijtehaad ya taqleed k wajah se ikhtelaaf ho jaay,or mamoom ko maloom ho k imam e jamat ki namaz batil hay(yani imam e jama,at k mujtahid k fatway main ye namaz batil ho), tu ye mamoom is imam e jama,at k peechay namaz mukammal nahi ker sakta.siwaay is sorat k , keh agar imam e jama,at ki namaz main koe aisi ghalati ho jo k jaahil e qasir{Jaahil e qasir aisay laa ilm shaks ko kehtay hain jis ki jahalat/laa,ilmi ka uzr qaab e qobool ho} k liay maaf ho tu phir mamoom k liay jaiz hay k wo is imam e jama,at k peechay apni namaz ko mukammal karay.(ref: Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen,part#1, maslah#810). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.