Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question gusule juma ka tareeqa aur dua bataie plz 
Answer 1) Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.Ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360) 2) Mustahab hai k insaan ghusl e juma karte waqt ye dua perhe: Ashado allaa ilaalaha illal laaho wah dahoo laa shareeka lahoo wa anna muhammadan abduhoo wa rasooloho allaahumma salli alaa muhammadin wa aali muhammad waj,alnee minat tauwaabeena wajalnee minal mutatah,hireen. { اشھد ان لا الہ الا اللہ وحدہ لا شریک لہ و ان محمدا عبدہ و رسولہ اللھم صل علی محمد و ال محمد و اجعلنی من التوابین واجعلنی من المتطھرین} (Ref. tuziul masaal aqa sistani masala no.634). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.