Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Namaz ki jankari 
Question hazrat meri fazr ki namaz chhoot jati hai hamara masinary kaam bunai ka hai aur 3 baje raat me sone chale jate hai lekin dil me ye khyal rahta hai ki 2ghante baad namaz miljayegi firbhi ham sone chale jate hai to kya hamse gunah to nahi horaha hai.Hamri ye majboori hai.Aap ko mera salam jawab jald diji ye 
Answer Jis shaks ko yaqeen ho k agar main so gaya tu namaz e subah k liay baydaar nahi ho sakon ga tu wo kisi k zimmay laga sakta skata hay k wo namaz k liay osay jagaay ya wo timepiece (Alarm) istemaal karay or agar ye dono mumkin nah hoon tu sonay se gunahgaar nah hoga magar ye k urf(awaam) k nazdeek osay namaz k silsilay main susti or gaflat kerne wala samjha jay.(Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 83). Wazifa: Jo shaks namaz se ghafil rehta ho wo 7 baar sorah e mominoon(sorah#23) ki tilawat karay tub a-qaaidgi se namazain perhne lagay ga.(Ref: dun o akhirat ki 100 preshaniyo ka hal, pg#5). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.