Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name haram aur halal kya hai 
Question Haram auq halal kya hai iske nuksanat kya hai hamare momin bhai sarkari iskeem me profit ke liye sarkari iskeem lete hai to ye sahi hai ya galat  
Answer 1) Wo amal jo shariyat ki nazar me na kaabl e tareef ho aur na kaabl e muzmmat ho osko mobah yani halal kehtay hain. (ref. Tuziul masail aqa sistani pg#478) 2) Her wo amal jis ka terk kerna shariyat ki nazar me zarori ho os ko haram kehtay hain.(ref. Tuziul masail aqa sistani pg no 475) 3) sarkari(Government) k ya neem sarkari(Sami-Goverment) bank me is surat me raqam rakh saktay hain or profit lay sakhtay hain jab raqam raktay waqt profit ki shart nah ki gae ho tu is surat main profit lay saktay hain or is profit ka aadha hissa kisi deendar(shia) faqeer ko dena hoga tu aadah profit aap k liay halaal hoga. 2-Private bank me agar raqam rakhte waqt is faide ki shart na rakhi gye ho to usi lena jaiz he agar chah ye jante hoon k bank faida de ga. Isi terha kafir bank me bhi yahi hokum he balke is me agar shart bhi rakhi gye ho tab bhi faide ko hasil karna jaiz he (Ref: Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 01 , ques # 113, pg # 62). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.