Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Salam Alaikum Janab Mujtahid-e-Taqleed: wala column smjh nahi aya isliye blanck chor raha hu.. Humne Dadhi Rakhi hui ha or humare sare dost or gharwale yeh keh kar hume tana marte hn ke humne sunniyon ke jaise dadhi rakhi hui ha, hum samajh nahi sake ke dadhi me shia or sunni ka kya masla a gaya? fir sab yeh kehte hn ke agar walda kahe to (maaz allah)na jane kis imam ka qaul ha dadhi kaat sakte hn... hum is bat se ittefaq nahi rakhte ke humare imam maaz allah aise koi baat keh sakte hn jo deen ke khilaf ho.. please hume kisi aise kitab ka naam bataeye jis se hum yeh bat sabit kar saken ke dadhi katna ghalat ha or aise jhuti batein karna bhi ghalat ha.. log trim kar ke allah ko dhoka dene ki koshish karte hn.. inshallah ap meri mushkil asaan karge..  
Answer 1) Ehtiyaat e wajib ki bina per mard k lie darhi mundwana jaiz nahi neez ehtiyaat e wajib k taur per mard ko ye haq nahi pounchta k sirf tohri k baal rakhe aur baqi mundva lay. (Ref : jadid faqhi masyl ayat ullaha sistani d.b. masla # 473 , pg # 255) 2) Darhi is had tak hona tu wajib hay k urf(awaam) mein issay darhi kaha ja sakay. REF: www.sistani.org, urdu istiftaat, dari, Q:7. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.