Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Assalam u Alikum mera ye sawal ha k ham qaza nimaz ko kis tarah count kar skty ha sal k dino k hisab sy nimaz ko parha jaye or agar aik admi borha ho gaya ha tu kaya wo tauba kar sakta ha ya us po qaznimaz parna wajib ha ya uski umer 60 sy zeada ha ksy qaza nimaz pori umer ki parhy plz koi rasta dekhain 
Answer Agar kisi shaks ko yeh yaad na ho ke us se kitni namazain qaza huwi hain to agar woh sab se chotay figure ke hisab se namaz parh lay to kafi hai. eg. yeh na janta ho keh subah ki 3 namazain qaza huwi thi ya 4 ya 5, to agar woh subah ki 3 namazain parh lay to kafi hai. lekin behtar yeh hai ke itni namazain parhay ke isay yaqeen ho jai keh sari namazain parh li hain. yanay upper wali example ke etibaar se behtar yeh hai ke subah ki 5 namazain parh lay. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1364). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.