Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name imam Sistani 
Question ghussel ka sahi tareka kia hay or agar swimming pool hay or us may ghusal kia jai to us may niyat kia ho gi. 
Answer 1) Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain. 2) Jis shakhs ne ghusl e janabat kia ho zarooori he k namaz k lie wazoo na karay. Balke ghusl e istehaza motawasita k siwa tamam wajib ghusloon aur masla no 634 me bayan karda tamam mustahabb ghusloon k baad bhi namaz parh sakhta he agarchah ethiat e mustahabb ye he k wazoo bhi karay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 456 , 360-365, 357, 389) 2) Ghusl e irtimasi e daf,e me zaroori hai k aik lamhe k liay pora badan paani me ghir jaay .Laikin ghusl kerne se pehlay saray badan ka paani se bahar hona zarori nahi hay balkeh agar badan ka khuch hissa pani se bahar ho or ghusl ki niyat se paani main ghauta lagaay tu kaafi hay.(Ref. Tauziulmasail aqa sistani masla no. 366) ) 3) Ghusl e Irtimasi e tadriji main zarori hay k ghusl ki niyat se urfi aytebaar se aik hi dafa main badan ko pani main dibo day.is ghusl main zarori hay k badan ka pora hissa ghusl kerne se pehlay paani se bahar ho.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 367). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.