Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question A-O-A MERA SAWAL YE HY KHY KAFIR BANK SY LOAN LY SAKTY HEN? AUR AGER MAJBORAN NA DY SAKYEN TO KY KAREN AUR ES KA KHUMS KYSY NEKAL SAKTY HEN? AUR MUJTAHED TAK KYSY khums ke raqm dy sakty hen ? khuda hafiz  
Answer Kaafir bank se sood (riba) ada karne ki shart par loan lena haram hai aur haram kaam se bachne k liay ye kar sakte hain k raqam ko kaafir bank se qarz ki niyat k baghair lain nah k loan ki niyat se agarchah jaante hoon k kaafir bank asal maal aur sood(riba) dono wosool karay ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #8, page#437). 2)Qarz ki asal raqam per khums wajib nahi hota Q k os raqam k aap malik hi nahi hotay. Agar ye bank private ho tu saal ki amadani (income) se jitni raqam bank ko wapas kerdi ho or qarze ki asal miqdaar aap k saal k akhrajaat main istemaal nah hoe ho tu otni miqdaar ka khums nikaalna wajib hoga. (Ref: Mujtahid se pochay gay sawalaat,part#1, sawaal#108) 3) Ayatullah Sistani(d.b) k Karachi main bohot se vakeel maujood hain.jin main se aik Maulana Ali Raza Mehdavi hain.or Madrasa Quran o Itrat Academy k principal bhi hain.or in ka contact number 021-32226948, 021-32237207 hay.(Ref:www.qoitrat.org). Addres: 365/1, pire street , garden east karachi Pakistan. Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.